Kar loun bas aik baar ziyarat Hussain ki
Daikhain kab ho gi hum pe inaayat Hussain ki
Dil main jala ke shamme-aqeedat Hussain ki
Jab chaha dekh li hum ne soorat Hussain ki
Sadjay ko tool deta gaya Fakhar-e-Ambiya
Ki ibaadat-e-Khuda main ata'at Hussain ki
Ban ker galay main touq lippat jaaye gi Namaz
Shaamil nahi ger is main mawwadaat Hussain ki
Youn hi nahi uthaaye hain Qudrat ne inke naaz
Naam-e-Khuda hai aaj badolat Hussain ki
0 comments:
Post a Comment