Zindaa'n main Sakina yeh buka kerti thi ro ker
Dam ghut-ta hai Amma mera ab le chalo mujh ko gher
Kia andhaira hai sujjhaayi nahi deta kuch bhi
Haath rakhta nahi Amma merey sar per koi
Aur chand roz main mar jaaon gi mein ghut ghut ker
Khaak pe soti houn Baba ka nahi hai seena
Kitna dushwaar hai iss ranj o alam main jeena
Raat din roti houn Baba ko koi ker de khabar
Neel rukhsaar ke kaanou'n ka lahu taza hai
Kuch merey dard ka Amma tumhain andaza hai?
Ghum main Baba ke houn maghmoom Ch'cha ke muzter
Khoo'n bhara qurta badal do meri pyaari Amma
Apni goudi main sula lo mujhay waari Amma
Sonay deta nahi ik pal mujhay yeh hijr e pider
Tum tou kehti thien rehaayi ki ghari aa pohnchi
Aisa lagta hai judaayi ki ghari aa pohnchi
Raat ko khuaa'b main aaye thay merey dada Haider
Yeh hi kehtey hoay aayi jo ajal ki hichki
Dukhtar e Sibt e Nabi haaye youn khaamosh hoi
Noha kerney lagay zindaa'n ke sabhi baam o dar
Neend aati na thi Rehan jisay woh bachi
So gayi Shaam ke zindaanou'n main yeh kehti hoi
Chaen se so'oun gi jaaon gi jo zindaanou'n se gher